*One ov my fvrt Ghazal*
Khushhal Se Tum Bhi Lagte Ho,
Yu Afsurda To Ham Bhi Nahin
... Per Jan Nay Walay Jantay Hain ,
Khush Ham Bhi Nahin Khush Tum Bhi Nahin
Tum Apni Khudi Kay Pahray Main,
Or Dam E Ghoror Main Jakray Hoaye
Ham Apnay Za Am Kay Narghay Main ,
Ana Hath Hamaray Pakray Hoaye
Ik Muddat Se Ghaltan Paychan ,
Tum Rabt O Guraiz Kay Dharon Main
Ham Apnay Aap Se Uljhay Hoaye ,
Pachtaway Kay Angaron Main
Mahsor E Talatum Aaj Bhi Ho,
Go Tum Nay Kinaray Dhoond Liaye
Tofan Se Sanbhlay Ham Bhi Nahin ,
Kahnay Ko Saharay Dhoond Liaye
Khamosh Se Tum, Ham Mohar Ba Lab ,
Jug Beet Gaye Tuk Baat Kiaye
Suno Khail Adhora Chortay Hain ,
Bina Chaal Chalay Bina Maat Kiaye
Jo Bhagtay Bhagtay Thak Jain,
Wo Sa' Aye Ruk Bhi Saktay Hain
Chalo Torro Qasam Iqrar Karain,
Ham Donon Jhuk Bhi Saktay Hain
No comments:
Post a Comment